Pages

Sunday, April 17, 2011

Hyderabadi Hindi boleto aisich rehna!!


Hou miyaan bilkul sahi sune tum.. Ab dekho, aaj kal ke potte pottiyaan kyaa hain ki English mein full phaaast baataan karre aur apne Hyderabadi Hindi ku lite le lere. Hindi kaun baat karta chichaa? Tumaare baava? Chalo baava pe nai jaatoon lekin kyaa karein patthe yeh generation mein ek se ek naalayak dimaag karaab logaan nikalre.

The Charminar in all its glory. The roads are never empty. But at 6am that day, it was!
Mai Kya bolroon, samajhre ki nai? Parson kyaaki Deccan Chargers ka naya advertisement dekha mai.. Abbaaa!! Kyaa chindiyaaan ad nikaala yaaron. Hyderabad ko full shining shining kar diye bolo. Hyderabad ka ad boleto aisich rehna boltoon!

Khair yeh sab hote rehta, lekin apne Deccan Chargeraan kya toh bhi karre Hyderabad mein matchaan hote time pe. Pinde me milaa dere matchaan. Ghar ku aake khele waqat kyaa hota ki. Baingan apne playeraan jamaalgutta khaa le ke aate kya? Siraf ek match jeet te yaaron ghar pe? Apne ghar pe? Mai phulll disapaaint ho gaya yaaron. Kya karinge? Phir bhi Deccan Chargers ka T-Shirt daal le ke “Go chargers, Go Chargers, Go, Go Go Go....” bol ke cheering karrooon. Aur do teen baar yahaan Hyderabad mein hare samjho, mai lite le letooon yahaan ke matchaan.

Yeh kirkit bhi kyaa kit kit hain chicha... dum karne ko ich khelte. Baingan office jaane waale ku ghar pe bitaatha, school jaane waale bachhe ku pet darad yaad dilaatha, college ke potte toh chodo... resortaan, pub, bar bolke kahaan kahaan ki jaate, unke baava ke paise udaa ke aathe. Apan bhi karte bolo, lekin hadh hona na yaaron..

Yeh blaag post ko jo bhi padhra, usku seedha seedha, final waaarning deke bolroon. Patthe, Hyderabadi hindi ku lite nakko lio... Angrez, Hyderabad Nawabs wagera wagera dekhe waqat kyaaki pet pakad leku haste, baat karne ko nahi hota re chindi chor? Baat karna nahi aata boleto, seekho. Mereku contact karo. Mera number honga na? Nai hain toh mera website address honga na, usku email karo. Kochanaa bhi poochlo. Mai mere website se tumaare website ku thode tipsaaan bhejtoon. Aisa seekhlo. Apan aisich neglet kiye toh apna Hyderabadi hindi ka dukaan bandh ho jaata chicha.. Inne phekra bolke nakko socho.  Aisich mazaak mazaaak mein razaak ho jaata. Aaakhe do teen khan bhairiyaan detoon, tab maloom hota inne sach bolraa bolke.

Chalo mai abhi tata bye bye boltoon. Hindi mein type karna dimaag kharaab hain yaaron. Baat karinge, aajao Saturday Sunday ku. Mil ke, saath mein baataaan karinge. Aisich aate waqat Paradise ki Biryani lekar aajao yaaron... Phir Milinge!



An ode to one of the best fusion languages ever! Urdu and Hindi= Hyderabadi Hindi. Fun to talk, fun to listen and a new word comes up ever new week! 


My Hyderabadi Hindi Pocket Dictionary:


Potta/Potte--> Usually referred to a teenage boy. Sometimes any boy.
Potti/Pottiyaan-- >Teenage girl. Ditto as above.
Chichaa--> Uncle or old man. But it's frequently used between friends. They refer each other as chicha, patthe, sher, etc....
Patthe-- > Boy, dude
Chindiyaan--> Awesome
Baingan--> Brinjal


If you came across anything you couldn't comprehend, leave me a comment. I'd be more than glad to let you know what it means :D


~~Peace
R.o.H.i.T....


~~Day 17 of my blog-a-day for 22 days marathon. Memoirs of a Drunken Junkie shuts down on the 22nd of April :-)

10 comments:

Raghavendra Mutt said...

Zameen pein letke hasroon miyana..!! Kya tho bhi bole yaaro tum.. English ki tho pinde mein mila diye baigan ki meri..!! :P

Khushboo R. Gandhi said...

ermmm y wud a brinjal go 2 office :-s ermm @-)? *scratches head*

n chindiyaan means awsum :O lol how ironic :P n wen i read tht para, i hadn't known den tht it meant awsum in hyd, so i ws like if it ws tht chindi :-s y r u so happy lol?

The Destiny Shapers said...

Arey Hyd ke potte.........tum jo likhe na baigan , bartha etc, yeh pura angreziii hiii jhaade na ji

rohit Iyer said...

Chicha... tum shaayad hyderabad ke nahi ho... Angrez mein kahaan jhaada jee?? Aankhein hain ki channa bataana? Haalaki English mein type kiya... Ab hindi bhi padhte logaan.. lite le lete...
comment karne ku taim liye nai... uske liye shukriya! :)

Raghavendra Mutt said...

chicha, mein bola tum Agrez ki waat laga diye tumhari hindi se.. Ek dum mast..! Bathi jali abhi dimak ki..?

rohit Iyer said...

@ Raghu--> Abbey I replied to Monk's comment.. tera comment sahi tha :D

@ Khushboo--> You'll have to be a Hyderabadi to understand that one :P... yeah chindiyaan means awesomely fantasticly super duper... :D

Ananya said...

Razzak kya hai?

Ananya said...

Razak ka matlab kya hai?

rohit Iyer said...

Ananya- Razaak is a person's name. People use it to rhyme it and form Mazaak mazaaak mein Razaaak ho jaata.
Think - Eda banke peda khaana types!

Deepa said...

Ekdum mast bole bhai, apan ko padh k naa ekdum majja aa gaya bantai. Aise ich likte re, apun aise ich comment bimment marte rehenge bachi.